Friday, 16 May 2008

[ F K ] Best collection of poetry



Qurb k na wafa k hote hain
 Saray jhagray anaa k hote hain
 
 Baat niyat ki sirf hai warna
 Waqt saray dua k hote hain
 
 Bhool jate hain, mat bura kehna
 Log putlay khata k hote hain
 
 Wo bazahir jo kuch nahi lagte
 Unse rishtay bala k hote hain
 
 WO HAMARA HAY IS TARAH SAY FAIZ ~'
 JAISAY BANDE KHUDA K HOTHE HEIN ......!!!

*********************************************

Tu Mera Naam Na Poocha Ker!
 Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon
 Main Teri Soch Main Shamil Hoon
 Main Teri Neend Ka Qissa Hoon
 Main Tery Khawab Ka Haasil Hoon
 Main Teri Yaad Ka Mehver Hoon
 Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon
 Tu Manzar,Main Pas-Manzar Hoon
 Main Lamha Hoon,Main Jazba Hoon
 Jazby Ka Koi Naam Nahi..
 Tu Mera Naam Na Poocha Ker!!!!

***********************************

Tumhain Janan Ijazat Hai
 K in Tareek Rahon Par
 Thakan Si Khud Mein Pao to
 Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
 Thak Si Jao To
 Mere Jalte Hue Lamhon
 Mere Bekangal Hathon Se Chora K Apne Hathon Ko
 
 Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
 Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena
 
 Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna
 Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar
 Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna
 Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna
 
 Tumhein Is Ki Ijazat Hai
 
 Mere Sab Khat Jala Dena
 Mere Tehfoon Ko Darya Mein Baha Dena
 Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna
 Or
 Mita Dena
 
 Tumhain Bilkul Ijazat hai
 
 K Jab Chaho Bhula Dena
 Magar Itni Guzarish Hai
 Agar Aisa Na ho Janan
 To Acha Hai Na............ !!

********************************

Kehnay Ko Us Say Mera Koi Waasta Nahi
 Amjad magar Woh Shakhs Mujhay Bhoolta Nahi
 
 Darta Hoon Aankh Kholoon To Manzar Badal Naa Jayey
 Main Jaag To Raha Hoon Magar Jaagta Nahi
 
 Aashaftagi Say Uski Usay Bay Wafa Naa Jaan
 Aadat Ki Baat Aur Hay Dil Ka Bura Nahi
 
 Tanha Udaas Chaand Ko Samjho Naa Bay Khabar
 Har Baat Sun Raha Hay Magar Bolta Nahi
 
 Khamosh Ratjagoun Ka Dhuwaan Tha Chahar Soo
 Nikla Kub Aaftaab Mujhay To Pata Nahi
 
 Amjad Woh Aankhain Jheel See Gehri To Hain Magar
 Un Main Koi Bhi Aks Meray Naam Ka Nahi..............!!!

*********************************


Dard-e-Mushtarik
 
 
 Tumhain daikhaa nahi
 Jana nahi
 Phir bhi ye lagtaa hai
 
 Qabeela aik hai apnaa!!!!!
 
 Wohi dard-e-judai hai
 Wahi bheegi hui palkain
 
 Naseeba aik hai apna!!!
 
 Kisi se kuch nahi kehnaa
 Koi shikwaa nahi karnaa
 
 Qarenaa aik hai apnaa!!
 
 Kisi ki yaad se
 Weran-i-dil jagmaga lainaa
 
 Khazeena aik hai apnaa!!
 
 Yaqeen ki akhri had tak
 Milan ki khushgumani hai
 
 Nateeja aik hai apnaa!

********************************

Mujhe koi aisa raasta bata
 Ke jis per chal kar
 Mein tujhe bhool sakoon
 Ya phir
 Mujhe koi aisi raah dikhlaa
 Jis per chaltay huwe
 Mein tere saath guzre huwe
 Lamhoon ki rafaaqat
 Ek khwaab samajh kar
 Bhula sakoon
 Ya phir
 Mujhe koi aisi simt bataa
 Jahaan jatay huwe
 Mein tujhe na sochoon
 Na hi tujhe yaad karoon
 Aur
 Agar aisa koi raasta
 Aisi koi raah
 Aisi koi simt
 Nahe hai tere paas
 Tu phir
 Mujhe mere haal pe chor day........

***********************************

Meri galtion ko chuna kro,
 Meri larzisho ko gina kro,
 Ye
 Qadam qadam ki hadod kya?
 Mere sath sath chala kro!
 Main khule mizaj ka shaks hon,
 Main takalufat se hun mavara,
 Ye mehrbani k jo lfz hain,
 Inhe tm na muj se kia karo;
 Kahin tum na ho jao besakon!
 Koi badua tumhen kha na le!
 Ye jo khoye khoye se log hain...
 Inhe dekh kr na hansa kro
 Ye Dua hay Rabekarim se,
 Teri tazgi ko khizan na ho,
 Ye bahar tm se jala kre,
 Sada muskurate rha kro...!!!

*************************** Hum jo toote to is tarah toote
 jaise hathon se girr k pathar par
 koi shafaaf aaiina toote
 jaise palkon se toot tha aansoo
 jaise seene main ik kamaan toote
 jaise umeed ki nazuk daali
 barg mosam main na gahaan toote
 jaise aankhon main khwab ki doori
 waqt e takmeel se ulajh jaye
 jaise pairon tale zameen nikle
 jaise sar par yeh asmaan toote
 jaise ik shaakh pe bharosa kia
 is pe jitne thay aashiyaan toote
 jaise wehshat se hosh aa jaye
 jaise ta dair main dheyaan toote
 ab jo raiza howay to sochte hain
 kis nay dekha tha tootna apna
 hum jo toote to raayegaan toote

********************************

Kaho dukh k samander ka safar ab tak raha kaisa..?
 
 Kaha ujlay kinaaro'n ka koi imkaan daikha hay...
 
 
 Kaho derya kinaaro'n say bhhala kya guftugoo thehri..
 
 Kaha derya ko apnay zabt pay hairaan daikhha hay...
 
 
 Kaha kyun kis liyay khhola yeh tum nay dilka drwaza
 
 Bataaya dil k rasto'n per koi mehmaan daikhha hay...
 
 
 Kaho us ishq ki baabat, bhhala kya had rahi ho gi..?
 
 Kaha woh ishq jaisay rooh ka sartaan daikhha hay...
 
 
 Kaho us say bichharrnay ki, tumhain manzoor yeh hoga
 
 Kaha jeenay ki khuwaahish ko kabhi qurbaan daihha hay...
 
 
 Kaho phir tum pay kya guzri, woh khuwaab-e-zindagi khho ker..?
 
 Kaha kal apni aankho'n ko bohot bay-jaan daikhha hay...!      

*****************************

Dard Phail Jae To….

 dard phail jae to…
 Aik waqt aata hay
 Dil dharakta rehta hay
 Aarzu gazeedon kay, hoslay nahin chaltay
 Dasht-e-bey yaqeeni mein
 Aasray nahin chaltay
 Reh rawon ke aankhon mein
 Manzilain na jab tak hon
 Qaflay nahin chaltay
 Ik zara tawajjah sey, dekhiye to khulta hay
 Loag un pey chaltay hain
 Raastay nahin chaltay
 Sochnay,samajhnay sey
 Saath saath chalnay sey
 Dooriyan simat te hain
 Faslay,nahin chaltay
 Bakht saath chalta hay
 Tala'a aazmaon kay
 Waqt raam kernay mein
 Tajzeyon kay dao kia!!
 Tajrubay nahin chaltay
 Ishq kay elaqay mein, hukm-e-yaar chalta hay
 Zaabtay nahin chaltay
 Husn ki aadalat mein
 Aajizi to chalti hay
 Martabay nahin chaltay
 dOsti kay rishton ke
 perwarish zaroori hay
 silsilay ta'alluq kay
 khud sey ban to jatay hain
 lekin………..
 in shagufon ko tootnay, bikhernay sey
 rokna bhe perta hay
 chahaton ke mitti mein
 aarzoo kay podon ko ,seenchna bhe perta hay
 ranjishon ke baton ko,bhoolna bhe perta hay….!!!


__._,_.___


Your email settings: Individual Email|Traditional
Change settings via the Web (Yahoo! ID required)
Change settings via email: Switch delivery to Daily Digest | Switch to Fully Featured
Visit Your Group | Yahoo! Groups Terms of Use | Unsubscribe

__,_._,___

No comments: